wo hum honge sitam-garon se jo Takrane aaenge

wo hum honge sitam-garon se jo takrane aaenge
sar-e-mahfil mohabbat ka sabaq dohrane aaenge

wo mai jis ko samajhne ke liye pina pade hum ko
hamein us ki haqiqat shaikh kya samjhane aaenge

unhen lab tak na lane ki qasam tum ne to de di hai
zaban-e-khalq par lekin wahi afsane aaenge

sukun kis ka lutega kaun khush hoga sar-e-mahfil
nahin malum wo kis par karam farmane aaenge

farishton se khata hoti nahin insan se hoti hai
suna hai is bahane shaikh bhi maikhane aaenge

khud apni tang-zarfi se chhalak utthenge mahfil mein
ba-waqt-e-mai-kashi aise bhi kuchh paimane aaenge

shugun-e-nek hai mai-khane ka barbaad ho jaana
naya saqi nae shishe nae paimane aaenge

bahaar-e-gulsitan 'manzur' jin rahon se aaegi
chhidakte khun pa-e-gul jhumte diwane aaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close