ek muddat se mere ghar mein na aaya koi

ek muddat se mere ghar mein na aaya koi
phir bhi aangan mein nazar aata hai saya koi

mujh ko ek zakhmi parinde ka khayal aata hai
shakh se tut ke udta hai jo patta koi

log ghabra ke nikal aae hain maidanon mein
habs aisa hai ki aata nahin jhonka koi

be-khabar waqt ke dhaare pe bahe jate hain
kya khabar kaun si manzil pe hai pahuncha koi

rang kya kya na samae hain meri aankhon mein
surat-e-naqsh magar dil mein na utra koi

jo meri ruh ke zakhmon ka mudawa le 'zaman'
mujh ko is shahr mein milta nahin aisa koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close