alqab KHat mein jitne baad-az-salam likkhe

alqab khat mein jitne baad-az-salam likkhe
dushman ko dosti ke behtar maqam likkhe

meri rafaqaton ke ye intiqam likkhe
khanjar zamane-bhar ke bas mere nam likkhe

nakaam zindagi mein diwana kaam likhe
patthar hawa mein phenke pani pe nam likkhe

jurat mein rah-rawi ye naqsh-e-dawam likkhe
aankhon mein subh likkhe thokar mein sham likhe

baadal sarab ban kar khud ko uda chuka hai
pyason ne lekin apne honton pe jam likkhe

basti se be-tahasha udte hue dhuen ne
diwar-o-dar pe ujle manzar tamam likkhe

wo sang-e-mil 'zakir' rahon mein anginat hain
lekin junun ne apne kyon chand gam likkhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close