ek muddat se rukh-e-yar nahin dekha hai nafraten dekhin magar pyar nahin dekha hai dard aur gham ka jo darman bhi le kar aae main ne aisa koi gham-khwar nahin dekha hai nazar aate hain pujari to bahut daulat ke koi ulfat ka talabgar nahin dekha hai wo jo mazdur banate hain mahal auron ke un ka apna koi ghar-bar nahin dekha hai qatl-o-ghaarat hai bapa kaisi mere shahron mein yun kabhi khun ka bazar nahin dekha hai