ek muddat se sar-e-dosh-e-hawa hun main bhi itna shaffaf ki ham-rang-e-faza hun main bhi tu bhi waqif meri tasir ke mahshar se he aur minnat-kahs-e-altaf-o-ata hun main bhi tu manadir ke singhasan pe ba-sad izz-o-waqar phul ki thaal mein lau deta diya hun main bhi tu bhi izhaar-e-talluq ke sabab dhundta hai shiddat-e-shauq se joya-e-raza hun main bhi haram-e-naz ki chilman se ulajhne wali dil-e-betab-e-mohabbat ki dua hun main bhi mushtari mera bhi aaega ye main jaanta hun pahle bazar mein aane se bika hun main bhi ho jo yak-pahlu-o-yak-rang nahin hai tu 'shahab' shoala-o-shabnam-o-simab-o-saba hun main bhi