lagi hai gasht karne ye KHabar aahista aahista

lagi hai gasht karne ye khabar aahista aahista
kamar kasne laga hai fitna-gar aahista aahista

kutar dalo use jitna bhi tum sone ki qainchi se
parinde ka nikal aata hai par aahista aahista

dubo kar manchali kashti ko maujon ne kaha hans kar
kiya jata hai pani mein safar aahista aahista

tilismi bansuri nadan bachchon ko na dena tum
ujad jaega masumon ka ghar aahista aahista

safar ki lazzaten kya hain safar ke pech-o-kham kya hain
samajh jaega apna ham-safar aahista aahista

kalam-e-narm-o-nazuk ko banana apna shewa tum
utar jaega sine mein 'asar' aahista aahista


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close