ek muddat se talabgar hun kin ka in ka tishna-e-hasrat-e-didar hun kin ka in ka jaan ko bech ke ye naqd-e-dil ab laya hun sab se pahle main kharidar hun kin ka in ka imtidad is mere bimar ka mat puchh tabib roz-e-misaq se bimar hun kin ka in ka mukhlisi qaid se mushkil hai mujhe ta-dam-e-marg dam-e-ulfat mein giraftar hun kin ka in ka bud-o-bash apna bataun main tumhein kya yaro sakin-e-saya-e-dar hun kin ka in ka hai baja fakhr karun apni agar tala par kafsh-bardaron ka sardar hun kin ka in ka galiyan tujh ko jo dete hain ye 'hatim' hain kaun kuchh na puchho mein gunahgar hun kin ka in ka to saza-war-e-saza kis ka hua hai 'hatim' sahib-e-man main gunahgar hun kin ka in ka