ek muddat se to thahre hue pani mein hun main aur had ye hai ki kahna hai rawani mein hun main zindagi jakde hue thi mere andar mujh ko maut ke baad laga jaise rawani mein hun main mere hone pe jahan mujh ko hi shak hota tha aaj us shahr ki nayab nishani mein hun main mera kirdar to bilkul bhi nahin mujh jaisa koi batlae mujhe kis ki kahani mein hun main kitni hi tarah se kaghaz pe likhun khud ko magar mujh ko malum hai bas ek maani mein hun main khud ko tamir karun aur bikhar bhi jaun apni nakaam tamannaon ke sani mein hun main qabr viran mere jism se badh kar to nahin kis liye khauf-zada naql-e-makani mein hun main hadse dard ghutan sare wahi hain kewal ab ke kirdar kisi aur kahani mein hun main mere jazbaat to budhon ki tarah lagte hain sirf chehra ye batata hai jawani mein hun main