sabz shakhon pe zamane ki nazar hoti hai kis ko sukhe hue patton ki khabar hoti hai sadaf-e-chashm se bahar jo na aane pae bund ashkon ki wahi misl-e-guhar hoti hai yaad ghurbat mein jab aati hai watan ki mujh ko na-gahan aankh meri ashkon se tar hoti hai dafatan dil ka har ek zakhm ubhar jata hai jab bhi taswir teri pesh-e-nazar hoti hai sham hote hi sulag jate hain har ghar mein charagh dub jate hain sitare to sahar hoti hai phul to phul hain patte nahin ugte jin mein aise pedon se bhi umid-e-samar hoti hai aib-jui mein shab-o-roz guzaren jo 'asar' apne kirdar pe kab un ki nazar hoti hai