ek mushkil si bahar-taur bani hoti hai tujh se baz aaen to phir khud se thani hoti hai kuchh to le baithti hai apni shikasta-pai aur kuchh rah mein chhanw bhi ghani hoti hai mere sine se zara kan laga kar dekho sans chalti hai ki zanjir-zani hoti hai aabla-pai bhi hoti hai muqaddar apna sar pe aflak ki chadar bhi tani hoti hai dudh ki nahr nikali hai ghamon se hum ne hum bata sakte hain kya koh-kani hoti hai aankh to khulti hai kirnon ki talab mein lekin zeb-e-mizhgan kisi neze ki ani hoti hai dasht-e-ghurbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish' ab to ghar mein bhi gharib-ul-watani hoti hai