teri ye zulfen nahin tere rukh-e-raushan ke pas abr ke do tukde uth kar aae hain gulshan ke pas kyun zamin hilne lagi hai kyun pareshan ruh hai kaun ghabra ke chala aaya mere madfan ke pas khinchna jazb-e-mohabbat us ka daman dekh kar sar-nigun baitha na ho fitna koi daman ke pas phir to dhunda bhi nahin milta koi murgh-e-chaman ghar agar sayyaad ka hota kisi gulshan ke pas kaun deta hai hamare dil ko ye targhib-e-nek rahnuma baitha hua hai kya koi rahzan ke pas main to samjha tha ki ab chhuta gham-o-alam se tegh us ki ruk gai aa kar meri gardan ke pas bazm-e-dushman mein naya fitna koi uthne ko tha khair guzri aap aa baithe qayamat ban ke pas 'shad' ab dil ka tumhaare hath aana hai muhaal wo magan baitha hua hoga kisi pur-fan ke pas