ek na aane wale ka intizar karte hain sham-e-rah-guzar hain hum roz bujhte-jalte hain mere kuchh na kahne ko harf-e-arzu samjho khamushi mein bhi mani kuchh na kuchh nikalte hain ek nashsha rahta hai tujh se mil ke pahron tak nashsha jab nahin hota aur hum bahakte hain rah-e-dard mein koi ham-safar nahin hota apni aag mein khud hi shama san pighalte hain dekhna hai kaun 'ishqi' sath de sar-e-manzil ibtida mein to sab hi sath sath chalte hain