ishq karta hun, taqaza nahin kar sakta main mera daman hai so mela nahin kar sakta main itni fursat hai ki ek duniya bana sakta hun par koi hai jise apna nahin kar sakta main kitne logon ne in aaankhon se shifa pai hai ek bimar ko achchha nahin kar sakta main ghar se nikla to ye mumkin hai bhatak hi jaun yar ab apna to pichha nahin kar sakta main raat bhar shor machata hai kisi khauf ke taht apne ham-zad pe parcha nahin kar sakta main aakhiri sans hai kuchh mujh pe karam ho sayyaad dekh ab aur tamasha nahin kar sakta main bhik bhi chahiye us dast-e-sakhi se mujh ko aur daman bhi kushada nahin kar sakta main