ek nagar ke naqsh bhula dun ek nagar ijad karun ek taraf khamoshi kar dun ek taraf aabaad karun manzil-e-shab jab tai karni hai apne akele dam se hi kis ke liye is jagah pe ruk kar din apna barbaad karun bahut qadim ka nam hai koi abr-o-hawa ke tufan mein nam jo main ab bhul chuka hun kaise us ko yaad karun ja ke sunun aasar-e-chaman mein saen saen shakhon ki khali mahl ke burjon se didar-e-barq-o-baad karun sher 'munir' likhun main uth kar sehn-e-sahar ke rangon mein ya phir kaam ye nazm-e-jahan ka sham dhale ke baad karun