marka ab ke hua bhi to phir aisa hoga tere dariya pe meri pyas ka pahra hoga us ki aankhen tere chehre pe bahut bolti hain us ne palkon se tera jism tarasha hoga kitne jugnu isi khwahish mein mere sath chale koi rasta tere ghar ko bhi to jata hoga main bhi apne ko bhulae hue phirta hun bahut aaina us ne bhi kuchh roz na dekha hoga raat jal-thal meri aankhon mein utar aaya tha surat-e-abr koi tut ke barsa hoga ye masihai use bhul gai hai 'mohsin' ya phir aisa hai mera zakhm hi gahra hoga