ek nashtar sa rag-e-jaan mein utarne dena zinda rahna hai to zakhmon ko na bharne dena aur kuchh der na ai tez hawao thamna jitne bosida hain safhat bikharne dena teri pahchan ki ek qaus alag ban jae apne lahje ko zara aur sanwarne dena chhu ke dekhenge to phir un se bhi nafrat hogi aasmanon ko zamin par na utarne dena meri binai ke sab dip bujha kar jaana sanehe sare meri jaan guzarne dena dekhna khwab-zaminen na hun banjar 'qayyum' apna ye dard ye aashob na marne dena