gham-qirtas pe apne karb ki baaten likhte rahna hijr-kitab ko padhte rahna sharhen likhte rahna phir yun hoga ek gum-gashta chehra samne hoga khwabon ki diwar banana aanhken likhte rahna itna karna apni soch ki aan na bikne deta din ki din hi aur raaton ko raaten likhte rahna aisa waqt na aane dena sukhen soch-samundar lahron se aawaz milana maujen likhte rahna bahar ke is shor mein teri baaten dab jaen to andar se jo aati hain aawazen likhte rahna 'tahir'! un be-bas lamhon ka ahd nibhana hoga us ne kaha tha khat mat likhna ghazlen likhte rahna