ek nazar hi dekha tha shauq ne shabab un ka din ko yaad hai un ki raat ko hai khwab un ka gir gae nigahon se phul bhi sitare bhi main ne jab se dekha hai aalam-e-shabab un ka nasehon ne shayad ye baat hi nahin sochi ek taraf hai dil mera ek taraf shabab un ka ai dil un ke chehre tak kis tarah nazar jati nur un ke chehre ka ban gaya hijab un ka ab kahun to main kis se mere dil pe kya guzri dekh kar un aankhon mein dard-e-iztirab un ka hashr ke muqabil mein hashr hi saf-ara hai is taraf junun mera us taraf shabab un ka