itna bhi shor tu na gham-e-sina chaak kar ishq ek latif shola hai is ko na khak kar ai dil huzur-e-dost ba-sad ehtiram ja daman ko chaak kar na gareban ko chaak kar daur-e-gham-e-firaq ki tarikiyon ko dho jalwon se un ke apna jahan tabnak kar dar hai kahin main shauq-e-farawan se mar na jaun ai jazba-e-tarab na mujhe yun halak kar aazad is se pahle ki un par nazar pade ashkon se dhoke apni nigahon ko pak kar