ek nigah-e-be-rukhi se gharq hote zaiqe lo chakho tahlil gharb-o-sharq hote zaiqe tab samajh mein aa bhi jate un ki duri ke sabab jab zamin-o-asman ke farq hote zaiqe tu samajh sakta nahin hai ishq ki mearaj ko tu ne chakkhe hi nahin hain barq hote zaiqe umr guzri par na samjha zaiqon ke farq ko zarq lagte zaiqe the barq hote zaiqe