ek nigah us jaanib thodi dur pani par tairte hain kuchh lashe phir huzur pani par kashtiyan fana kar ke ja chhupe kahin tufan jaan phenke jate hain be-qusur pani par mujh ko tishna-kaami ne fath-yabiyan bakhshin aur mere dushman ko tha ghurur pani par anginat safinon mein dip jagmagate hain raat ne lutaya hai rang-o-nur pani par jis ko aakhir-e-shab ka ham-safar bataya hai dekhiye wo farmae kab zuhur pani par yun 'aqil' bikhri hain aaftab ki kirnen jaise hon kuchh aaine chur-chur pani par