ek pal ja na kahun nain sun ai nur-e-basar tuk na ho is dil-e-tarik sun ai badr badar teri is subh bina gosh-o-khat-e-mushkin sun sair karta hun ajab sham-o-sahar sham-o-sahar jal ke main surma hua balki hua kajal bhi khana-e-chashm mein tujh paun jo tuk rah magar rah-daran lewen har gam mein jiw ka hasil haiga is rah mein ai umr-e-abad jaan ka khatar qible sun munh phiraya tere mukh ki jaanib kiya zahid ne make sun su-e-but-khana safar chand suraj ki rakh ainak kun sada pir-e-falak kham ho karta hai nazar taki dekhe teri kamar