bad-zan hain ahl-e-kaba mujh dair-ashna se kahte hain mujh ko kafir fariyaad hai khuda se bedad mohtasib ki fariyaad hai khuda se barse sharab ghar ghar mai-khwar ki dua se chitwan badal rahi hai nam aa gaya wafa ka tewar bigad rahe hain afsana-e-wafa se hum kyun tumhein bataen hum kyun tumhein jataen roz-e-jaza na jaane mangenge kya khuda se wo puchhte hain mujh se kaise ho tum 'mubarak' main kah raha hun achchha sarkar ki dua se