ek pauda jo uga hai use pani dena apne aangan ko nai rut ki kahani dena teri aawaz se jab tute mere ghar ka sukut dar-o-diwar ko bhi sehr-bayani dena ponchh lena meri palkon se lahu ki bunden meri aankhon ko agar manzar-e-sani dena kashtiyan dena magar izn-e-safar se pahle thahre pani ko bhi dariya ki rawani dena yun jalun main ki na sharminda rahun suraj se aur kuchh aur mujhe sokhta-jaani dena ret par naqsh-e-kaf-e-pa nahin rahne pate ahl-e-sahra ko koi aur nishani dena