chashm-o-dil sahab-e-guftar hue jate hain raste aql ko dushwar hue jate hain hijr-e-derina se ab khush the bahut main aur wo ab magar fasle bezar hue jate hain wo nigahen hain mughanni ki thirakti poren saz soe hue bedar hue jate hain sher-goi tera mansab to nahin tifl-e-sukhan han magar hijr mein do chaar hue jate hain nisbat-e-abjad-e-kirdar na thi jin ko 'naim' sahab-e-azmat-e-kirdar hue jate hain