ek ped sar-e-dasht-e-tamanna nazar aaya ta-hadd-e-guman abr ka saya nazar aaya tarik samundar mein jazira tha koi dil suraj kisi goshe se ubharta nazar aaya banjar thi zamin jazba-o-ehsas ki kab se sahra mein ubalta hua chashma nazar aaya jangal mein bhatakta wo musafir tha ki jis ko parbat pe mohabbat ka shiwala nazar aaya hain kab se sarabon ke taaqub mein 'shamim' aab ek sarw-e-rawan aap ko kya kya nazar aaya