aur zara kaj meri kulah to hoti zat se bahar kahin panah to hoti mujh ko agar zindagi ne kuchh na diya tha mere shab-o-roz ki gawah to hoti kho gai manzil to khair gard-e-safar mein jis pe main chalta raha wo rah to hoti khauf-zada kash koi mujh ko bhi rakhta mere liye bhi kahin panah to hoti lamha-e-maujud dastaras mein na hota lamha-e-maujud par nigah to hoti aur mujhe khalq se umid hi kya thi meri nahin teri khair-khwah to hoti apne charaghon ki tab dekhte hum bhi raat tere hijr ki siyah to hoti us ne mujhe kar diya kharab to kya hai yun bhi meri zindagi tabah to hoti shahar se nisbat bhi kuchh nikal hi lete shahar ke logon se rasm-o-rah to hoti khak pe sona hamein qubul tha 'rashid' khak pe kuchh raunaq-e-giyah to hoti