ek phul mere pas tha ek shama mere sath thi bahar khizan ka zor tha andar andheri raat thi aise pareshan to na the tute hue sannahate jab ishq ki tere mere gham par basar-auqat thi kuchh tum kaho tum ne kahan kaise guzare roz-o-shab apne na milne ka sabab to gardish-e-haalat thi ek khamushi thi tar-ba-tar diwar-e-mizhgan se udhar pahuncha hua paigham tha barsi hui barsat thi sab phul darwazon mein the sab rang aawazon mein the ek shahr dekha tha kabhi us shahr ki kya baat thi ye hain nae logon ke ghar sach hai ab un ko kya khabar dil bhi kisi ka nam tha gham bhi kisi ki zat thi