bhatka hua khayal hai uqba kahen jise bhula hua sa khwab hai duniya kahen jise dekhe shab-e-firaq mein koi to hum dikhaen dil ka wo dagh chand ka tukda kahen jise zalim ki aarzu ne jagah li hai is tarah dil mein chhupa hua koi kanta kahen jise in aarsi ke dekhne walon ko kya parakh achchha hai wo hasin hum achchha kahen jise gulzar mein wo phul hai jis ka hai nam mai zahid wo sard bagh hai mina kahen jise waqif nahin wo roz-e-qayamat ke tul se wada kiya hai wada-e-farda kahen jise hasil agar hui bhi to hasil nahin hai kuchh be-e'tibar chiz hai duniya kahen jise itni to ho bayan mein waiz shaguftagi hum rind sun ke qulqul-e-mina kahen jise ahl-e-haram mein ja ke bina aaj shaikh-e-waqt kafir 'riyaz' pir-e-kalisa kahen jise