ek qatra khun kya mere dil ka tapak gaya virana-e-hayat badaman mahak gaya pairahan-e-dil aatish-e-gul se lahak gaya khirman mein aarzuon ke shoala bhadak gaya aate hi un ki yaad khushi mahw ho gai kohra chhata to dard ka suraj chamak gaya mara phira talash-e-mohabbat mein dar-ba-dar apne hi ghar pahunch ke main afsos thak gaya ai zabt dekh kam hui jati hai raushni shayad meri nazar se mera gham jhalak gaya jab bhi hua ki bolte kuchh tishna-arzu chashm-e-siyah-e-yar ka saghar khanak gaya gum dasht-e-zindagi mein hua karwan-e-shauq chehra ghubar-e-ranj-o-alam se chamak gaya 'barq' aagahi ne apni ek angdai si jo li dekha libas-e-husn-e-tamanna masak gaya