wo apni zat ki tashhir se nikal aaya zaban ka zahr tha taqrir se nikal aaya hatheliyon ki lakiron mein tha jo poshida tumhaare hath ki tahrir se nikal aaya tumhaari yaad jo aai to dil mein huk uthi purana zakhm nae tir se nikal aaya tamam umr thi jis ki talash wo patthar mere makan ki tamir se nikal aaya zara si der khayalon mein guftugu ki thi phir is ke baad wo taswir se nikal aaya shifa ka nam bhi zaitun se hua mansub wafa ka shahad bhi injir se nikal aaya ek aaftab-e-wafa ek mahtab-e-nur hamare ishq ki tanwir se nikal aaya