ek ranj ba-pairaya-e-zar kyon nahin jata kashkol-e-hawas hai to ye bhar kyon nahin jata wo aaina-ru hai to mera rup dikhae main us ke muqabil hun sanwar kyon nahin jata dariya ka talatum to bahut din ki katha hai lekin mere andar ka bhanwar kyon nahin jata kahte ho ki ho uswa-e-shabbir pe qaem darbar mein kyon jate ho sar kyon nahin jata jab ruh se kahte ho ki labbaik husaina phir ji se yazidon ka ye dar kyon nahin jata tum sahib-e-mana ho to timsal pe mat jao ilzam kabhi aaine par kyon nahin jata lo sham gai raat hai kabus hai main hun main subh ka bhula hun to ghar kyon nahin jata har sang-e-dua mujh ko laga phul se badh kar jab itni duaen hain to mar kyon nahin jata 'akhtar' teri guftar-e-fusun-kar mein kya hai jo bhi idhar aata hai udhar kyon nahin jata