yun to ehsas-e-ziyan pe KHun-e-dil rota raha

yun to ehsas-e-ziyan pe khun-e-dil rota raha
zindagi ka bojh phir bhi dosto dhota raha

intiha-e-gham mein bhi mauj-e-tabassum lab pe thi
dard ki barish mein bhi ye dil dhanak hota raha

barha is baat ka mujh ko hua hai tajraba
jis ke haq mein ki dua kante wahi bota raha

dil ke darwaze pe koi bhi sada ubhri nahin
pyar-dastak ke liye main umr-bhar rota raha

us ka ghar bhi shoalon ki zad se na aakhir bach saka
jo laga kar aag khud tha chain se sota raha

gham nahin 'akhtar' ko barbaadi ka apni ai khuda
han magar sab kuchh tere hote hue hota raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close