ek ranj-e-dil ke jis se siwa chahta nahin kuchh bhi ho phir main us ki jagah chahta nahin us ko bhi main talab hun magar mujh se kuchh juda koi bhi mujh ko meri tarah chahta nahin ukta chuka hun ruh ki la-faniyat se par wo jism hun ke rah-e-fana chahta nahin koi bhi tere zakhm si tasir kaise de lekin main us ka aur maza chahta nahin is bar tu mile to tujhe chumna bhi hai main zindagi mein aur gila chahta nahin har la-dawa maraz ko duaon se hai umid tera koi mariz dawa chahta nahin mana ki ahd-e-wasl ka bhi pas hai magar aakhir wo kaise ho jo khuda chahta nahin