jo bhi barbaadiyan thin qaza le gai

jo bhi barbaadiyan thin qaza le gai
zindagi apna daman bacha le gai

khushk patte ki surat main udta raha
jis taraf mujh ko chaha hawa le gai

chaak-damani meri gulon ko mili
rang mere lahu ka hina le gai

fasl-e-gul mein gulistan ko kya mil gaya
gil ko gulchin mahak ko saba le gai

zindagi zindagi se gurezan hui
lutf jine ka shayad ana le gai

aur chahe hai kya mujh se diwangi
sar se chadar badan se qaba le gai

khub duniya ne luta hai mujh ko magar
khulq mera na meri wafa le gai

tu ne aawaz de kar tamasha kiya
dur tak mujh ko teri sada le gai

wo musafir hun shahr-e-butan ka 'nazir'
chashm-e-bina meri khak-e-pa le gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close