ek ranj-e-umr de ke chala hai kidhar mujhe galiyon mein rol den na mere baal-o-par mujhe dil parbaton ke par na chal de hawa ke sath baadal bana na de meri khu-e-safar mujhe main ne jinhen chhua unhen shahkar kar diya ai kash chhu sake mera dast-e-hunar mujhe tum se bichhad ke umr bhar ek soch hi rahi kya ho tum ek roz bhula do agar mujhe be-barg-o-bar kar gai aandhi mera badan khush tha ye soch kar ki lage hain samar mujhe ai dasht-dar dekh chaman-zar ki taraf pag pag pukarte hain mere ham-safar mujhe aazad kar 'najib' giraftar-e-ramz ko rangon mein khol ai mere rang-e-hunar mujhe