hausla itna abhi yar nahin kar pae khud ko ruswa sar-e-bazar nahin kar pae dil mein karte rahe duniya ke safar ka saman ghar ki dahliz magar par nahin kar pae hum kisi aur ke hone ki nafi kya karte apne hone pe jab israr nahin kar pae saat-e-wasl to qabu mein nahin thi lekin hijr ki shab ka bhi didar nahin kar pae ye to aaraish-e-mahfil ke liye tha warna ilm o danish ka hum izhaar nahin kar pae