ek ruthne ki hum ko ada tak nahin aai dil tut gaya aur sada tak nahin aai rahon pe charaghon ko sajaya hi nahin aaj aaj aandhi to kya baad-e-saba tak nahin aai kya mangna tha hum ko bhala aisa ki is bar hath utthe magar lab pe dua tak nahin aai ghairon ne wafa ki to bahut dukh hua hum ko apnon se hamein bu-e-wafa tak nahin aai pyase rahe kitne hi meri pyas ke bais barish to bahut dur ghata tak nahin aai