ek sabz rang bagh dikhaya gaya mujhe phir khushk raston pe chalaya gaya mujhe tai ho chuke the aakhiri sanson ke marhale jab muzhda-e-hayat sunaya gaya mujhe pahle to chhin li meri aankhon ki raushni phir aaine ke samne laya gaya mujhe rakkhe the us ne sare switch apne hath mein be-waqt hi jalaya bujhaya gaya mujhe chaaron taraf bichhi hain andheron ki chadaren shayad abhi fuzul jagaya gaya mujhe nikle hue the dhundne khun-khwar jaanwar kanton ki jhadiyon mein chhupaya gaya mujhe ek lamha muskurane ki qimat na puchhiye be-ikhtiyar pahle rulaya gaya mujhe