ek sadgi nibhai hai tarz-e-suKHan ke sath

ek sadgi nibhai hai tarz-e-sukhan ke sath
sauda nahin kiya hai kabhi fikr-o-fan ke sath

ye kya ki baat baat pe bas dil-lagi ki baat
tum bhi to pesh aao kabhi apne-pan ke sath

dil mein tere khayal se yun raushni hui
jaise ki subh aai ho pahli kiran ke sath

zakhmon ka chand dil ki tapish aur haya ke rang
ab sab chale gae hain teri anjuman ke sath

mitti ka qarz hum ne kuchh aise ada kiya
dastar bhi utar diya pairahan ke sath

ab ke hawaen kaun si rut le ke aai hain
sahra bhi pur-bahaar hai ab ke chaman ke sath

ab ke girani sari haden par kar gai
saude mein ab zamir bhi hai jaan-o-tan ke sath

kaise zamane teri khudai qubul ho
rishte mere bahaal hain dar-o-rasan ke sath

aapas mein uljhe rahte hain kyun zehn aur zamir
samjhauta donon kar hi chuke jab ki man ke sath

shayad koi hasin sa manzar ubhar ke aae
gardish mein ab ke abr hai nile gagan ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close