har taraf uske sunahre lafz hain phaile hue

har taraf us ke sunahre lafz hain phaile hue
aur hum kajal ki ek tahrir mein dube hue

chandni ke shahr mein hamrah tha wo bhi magar
dur tak khamoshiyon ke saz the bajte hue

hans raha tha wo hari rut ki suhani chhanw mein
dafatan har ek shajar ke pairahan maile hue

aaj ek masum bachchi ki zaban khinchi gai
meri basti mein andhere aur bhi gahre hue

har gali mein thin siyah parchhaiyon ki yurishen
shab kai gunge malak har chhat pe the baithe hue

sab adaen waqt ki wo jaanta hai is liye
tat ke niche sunahra taj hai rakkhe hue

soup ke dane kabutar chug raha tha aur wo
sehn ko mahka rahi thi sunnaten padhte hue

raat 'amabar' kahkashan se dub ye kahne lagi
chhanw mein meri hazaron chand hain soe hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close