ek sadma dard-e-dil se meri jaan par to hai

ek sadma dard-e-dil se meri jaan par to hai
lekin bala se yar ke zanu pe sar to hai

aana hai un ka aana qayamat ka dekhiye
kab aaen lekin aane ki un ke khabar to hai

hai sar shahid-e-ishq ka zeb-e-sinan-e-yar
sad shukr bare nakhl-e-wafa barwar to hai

manind-e-shama girya hai kya shughl-e-turfa-tar
ho jati raat us mein bala se basar to hai

hai dard dil mein gar nahin hamdard mere pas
dil-soz koi gar nahin soz-e-jigar to hai

ai dil hujum-e-dard-o-alam se na tang ho
khana-kharab khush ho ki aabaad ghar to hai

turbat pe dil-jalon ki nahin gar charagh o gul
sine mein sozish-e-dil o dagh-e-jigar to hai

ghaeb mein jo kaha so kaha phir bhi hai ye shukr
khamosh ho gaya wo mujhe dekh kar to hai

kashti-e-bahr-e-gham hai mere haq mein tegh-e-yar
kar deti ek dam mein idhar se udhar to hai

wo dil ki jis mein soz-e-mohabbat na howe 'zauq'
behtar hai sang us se ki us mein sharar to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close