satata wo agar fitrat se hat ke to patthar marta main bhi palat ke jo main ne intizar-e-yar khincha mera ghar ban gai duniya simat ke bahut kuchh hai nafas ki anjuman mein magar main ji raha hun sab se hat ke main un khamoshiyon mein rah raha hun jahan aati hain aawazen palat ke diye ki lau zara jo dagmagai zamin par aasman aaya jhapat ke ye sach hai main wahi hun tu wahi hai magar ab sans le kuchh dur hat ke guzara din mashaqqat karte karte guzari raat patthar se lipat ke tere bare mein soche ja raha hun magar ab lag rahe hain dil ko jhatke