ek sahifa naya utra hai suna hai logo marna dost ka bhi jis mein rawa hai logo hum ne jo kuchh na kya us ki saza bhi pai aur wo jo bhi kare sab hi rawa hai logo zulm ki had hai jahan khatm wahan par wo hai dhund lo us ko yahi us ka pata hai logo dil mein ek shola-e-ummid tha so sard hua chand mathe ka mere kab ka bujha hai logo jis ko tum kahte ho khush-bakht sada hai mazlum jina har daur mein aurat ka khata hai logo dekhiye zakhm ka kya haal hua hai 'raziya' aaj to dard mera had se siwa hai logo