ye sach hai un mein ye baaten to han hain

ye sach hai un mein ye baaten to han hain
bade bad-zan nihayat bad-guman hain

ghalat hai ye wo hum par mehrban hain
kahan apni samajh hai hum kahan hain

na ye puchhen na aae hijr mein maut
khuda bhula hai but na-mehrban hain

nahin uthte hain aa kar ghair hargiz
mohabbat mein yahi bar-e-garan hain

subut-e-ishq hai lab khushk sard aah
chhupaen kya ki ye sab to ayan hain

na puchho be-khudi-e-ishq hum se
khabar bhi kuchh nahin hai hum kahan hain

wo kuchh samjhen suna den haal-e-dil to
yahi na wo nihayat bad-guman hain

jab aaya nawak-e-qatil su-e-dil
jigar hi bol uttha hum yahan hain

abhi ukta gae tum hazrat-e-dil
mohabbat mein hazaron imtihan hain

hamein bahla ke rahte hain gham-o-ranj
yahi furqat mein goya mehrban hain

na kyon rashk aae bakht-e-muddai par
ki wo us par bahut hi mehrban hain

karen kis tarah chahat un ki hum kam
abhi nam-e-khuda wo naujawan hain

kabhi kar di thi zahir khwahish-e-wasl
jabhi se to bahut wo bad-guman hain

hasinon mein nahin koi burai
magar ek aib ye hai bad-zaban hain

na kyon lutf aae ab un ke sitam mein
suna hai wo sharik-e-asman hain

kahe dete hain ab dil ko sambhaalo
ki hum aamada-e-ah-o-fughan hain

samajhte hain hamein aur ghair ko ek
hamare aap achchhe qadr-dan hain

zara thahro jo aae ho dam-e-naza
ki ab hum koi dam ke mehman hain

'fahim' itna hi kya kam hai hamein fakhr
suno ahl-e-zaban shirin-zaban hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close