ek sahra hai meri aankh mein hairani ka mere andar to magar shor hai tughyani ka koi darwesh-e-khuda-mast abhi shahr mein hai naqsh baqi hai abhi dasht ki virani ka sans roke hai khadi dar se tere dur hawa khak-e-dil ye hai sabab teri pareshani ka hum faqiron ka tawakkul hi to sarmaya hai shikwa kis munh se karen be-sar-o-samani ka dil ke bazar mein halchal si macha di us ne mujh ko bhi dhoka hua yusuf-e-la-sani ka dekhta hun main abhi khwab usi ke shab o roz ye khulasa hai mere qissa-e-tulani ka