sehr-e-talab na khwab-e-fusun mujh ko mil gaya nind aa gai to khud hi sukun mujh ko mil gaya main chahta hun khak udaun jahan ki ye kaisi aag kaisa junun mujh ko mil gaya ye phul le kar us ki taraf ja raha tha main lekin wo raste mein hi kyon mujh ko mil gaya kal tak to aansuon se pareshan tha aur ab ahwal-e-dil bhi aaj zubun mujh ko mil gaya us ped ko ghamand bahut tha bahaar mein lekin khizan mein wo bhi nigun mujh ko mil gaya ek yaad ghar mein sae ki surat rahi 'fida' ek aks aaine ke darun mujh ko mil gaya