ek sans ki maddham lau to yahi ek pal to yahi ek chhin to yahi taj do ki barat lo dil to yahi chun lo ki ganwa do din to yahi larzan hai lahu ki khalijon mein pechan hai badan ki nasijon mein ek bujhte hue shoale ka safar kuchh din ho agar kuchh din to yahi bal khae dikhe nazron se rise sanson mein bahe sochon mein jale bujhte hue is shoale ke jatan hai kuchh bhi agar kuchh din to yahi main zehn pe apne gahri shikan main sidq mein apne bhatka hua in bandhanon mein ek angdai manzil hai jo koi kathin to yahi is dhab se jien sinon ke sharar jhonkon mein ghulen qadron mein tulen kawish hai koi mushkil to yahi koshish hai koi mumkin to yahi phir barf giri ek guzri hui pat-jhad ki bahaaren yaad aain is rut ki nachant hawaon mein hain kuchh tisen itni dukhan to yahi