wo jo dekhe the main ne kabhi khwab mein bah gae phul sare wo sailab mein na-khuda ki jo niyyat thi zahir hui jab bhi kashti meri aai girdab mein raaz ab tak kisi pe na ye khul saka mar gain machhliyan kaise talab mein jitne bhi zakhm the khud-ba-khud bhar gae jab se dekha hai ek dagh mahtab mein ek muddat se hum un se kat hain gae tazkire phir bhi hote hain ahbab mein apni har baat 'robina' had mein rahi band hain hum to akhlaq-o-adab mein