ek saza aur asiron ko suna di jae yani ab jurm-e-asiri ki saza di jae dast-e-nadida ki tahqiq zaruri hai magar pahle jo aag lagi hai wo bujha di jae us ki khwahish hai ki ab log na roen na hansen be-hisi waqt ki aawaz bana di jae sirf suraj ka nikalna hai agar subh to phir ek shab aur meri shab se mila di jae aur ek taza sitam us ne kiya hai ijad us ko is bar zara khul ke dua di jae